Thursday 15 September 2011

Ek aam aadmi


Ek aam aadmi
Khaamosh si in raahoN me bhatakta,
Is bhare se aasmaan me apna ..
Astitva dhooNd paane ko tarasta,

Ek aam Aadmi

Do jooN roti or ek chhat ke khaatir
In tez raftaar se bhaagti sadkoN per,
Jindgi se bhi dheemi chalti basoN per
Roj Bhagwaan bharose latakta,

Ek aam Aadmi

Apne lehraate KhetoN ko dekhkar muskurata
Apni chhoti-choti khushiyoN ke khaatir
Chhote-chhote se sapne sajata or
Unke poora na ho paane se ghabrata,

Ek aam Aadmi

ShehroN ki chakachouNdh se door
UooNchi-UooNchi meenaaroN se bharpoor,
MotaroN ki hod se anjaan
Apne chhote se ghar pe rang-rogan lagata,

Ek aam Aadmi

Sird kohre me ghar se nikalkar
Apne maveshiyoN ko chaara jutata,
Seena cheerti thand se ladta
Apne khetoN me paseena bahata,

Ek aam Aadmi

Apni naakaamiyoN ka maatam manata
Roj chulhe ke khaatir lakdiyaaN jutata,
Internet or Globalisation ke is daur me bhi
Pichhili sadi se bhi pichhla nazar aata,

Ek aam aadmi.

Chaand


Un hawaaoN ka gujar... ab meri galiyoN nahi hota
Ik umr guzre... jo..meri in..zulfoN ko sehlaati thi,
Hamne bhi... un apnoN se..milna-milaana chhhod diya
jinki nazdiqiyaan...begaanoN ka sa ehsaas karaati th    

No comments:

Post a Comment